![]() |
| Sahir Ludhianvi |
Aqaaid Waham
Hain, Mazhab Khayaal-E-Khaam Hai Saaqi
Azal Se Zehn-E-Insaan Basta-E-Auhaam Hai Saaqi

Haqeeqat
Aashnaai Asl Mein Gum[Kardah Raahi Hai
Aroos-E-Aagahi Parvardah-E-Ibhaam Hai Saaqi

Mubaarak Ho
Za’eefi Ko Khirad Ki Falsafa-Daani
Javaabi Be-Niyaaz-E-Ibrat-E-Anjaam Hai Saaqi

Havas Hogi
Aseer-E-Halqa-E-Nek-O-Bad-E-Aalam
Muhabbat Maavara-E-Fikr-E-Nang-O-Naam Hai Saaqi

Abhi Tak Raaste
Ke Pech-O-Kham Se Dil Dharakta Hai
Mera Zauq-E-Talab Shaayad Abhi Tak Khaam Hai Saaqi

Vahaan Bheja
Gaya Hoon Chaak Karne Parda-E-Shab Ko
Jahaan Har Subah Ke Daaman Pe Aks-E-Shaam Hai Saaqi

Mere Saaghar
Mein Mai Hai Aur Tere Haathon Mein Barbat Hai
Vatan Ki Sarzameen Mein Bhookh Se Kuhraam Hai Saaqi

Zamana
Bar-Sar-E-Paikaar Hai Pur-Haul Sho’lon Se
Tere Lab Par Abhi Tak Naghma-E-Khayyaam Hai Saaqi

----------------------